|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Aasha ki kiran mere naam mein chupi huin hain Apne labbo se mera naam leke to dekho Dard na samet liya tho dubara chaukath pe na dikhu Aasoon na pooch diye tho kabhie in haatho se kisi ka daaman na pakdu
Zindagi ki lakeere bhale hi na badal saku Ruthe huen ruksato ki bahav ko thehra doon Teri khushi ke naam pe apni aadi khushi samarpan kardu tujhpe Tu laakh mana kare, meri har ruh mein tera hi maan likha
Kasam khaayi hain hamesha teri chaaya bankar rehne ki Tu aage bhagta jaa, main tere saath chalti rahu Yeh zor mere taraf se hi sahi Tujhe bhar lage ye mera dakhalandaaz
Tu bhool gaya, lekin main na bhooli Vo waqt tha mera astitva ek gehraayi mein gir raha tha Vo tum the jisne nai disha di Aaj tum gehraayi mein gir rahe ho Tho mera farz hi samajh lo ise
Mujhe tutte huen tum dekh na sakke Kis aasha se main dur khadi sab dekhu maine tho pehle din hi soch liya tha
Zindagi bhar ye daaman na chodun Tu laakh mana kar, meri har ruh mein tera hi maan likha ||
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|